jab kabhi dekhati hoon

Saini Sa'aB

K00l$@!n!
jab kabhi dekhati hoon zindgi ki kitab ke panne palatkar,
pati hoon keval dard me dubi ibaaraten,
kuch hasaraten,kuch khwaab,
jo hakikat banane se pahle, tutkar bikhar gaye,
mahaz unke nishaan baki rah gaye.
apno se mile un behisaab zakhmo ki,
pachhaiyan hai keval, jo zindgi me mile.
kese pyar karu us zindgi se,
jisne dard ke siva kuch na diya.
kuch sukhad yaaden jab gherti hai to keval,
jalte huve dil se dhuaa uthata hai.
yaadon ke chand zaronkhon me gham hai itne,
ki dil par keval vahi dastak dete hai.
zindgi ke panno se mit gaye,
un haseen yaadon ke naamo-nishaan.
jo muththi-bhar the.
rah gaye keval ruswaaiyan.
kuch adhure khwaab,
jo kabhi zindagi ne dikhye the.
 
Top