jaayenge din hua ajnabi raat bhi ajnabi har ghari har pehar

~¤Akash¤~

Prime VIP
humsafar ban ke hum saath hain aaj bhi
phir bhi hai ye safar ajnabi ajnabi

raah bhi ajnabi mod bhi ajnabi
jaayen hum kidhar ajnabi ajnabi

zindagi ho gayi hai sulagtaa safar door tak aa rahaa hai dhuaan sa nazar
jaane kis mod par kho gayi har Khushi deke dard-e-jigar ajnabi ajnabi

humne chunn-chunn ke tinke banaaya tha jo aashiyaan hasraton se sajaya tha jo
hai chaman mein vahi aashiyaan aaj bhi lag raha hai magar ajnabi ajnabi

kisko maalum tha din ye bhi aayenge mausamon ki tarah dil bhi badal jaayenge
din hua ajnabi raat bhi ajnabi har ghari har pehar ajnabi ajnabi
 
Top