itna haseen sitamgar hoga socha na tha

~¤Akash¤~

Prime VIP
yu ishq ka asar hoga socha na tha
uska dil mera ghar hoga socha na tha

masoom nigahon se ulajh baithe kya pata tha
nishana hum aur teer-e-nazar hoga socha na tha

itni masoomiyat se jaan lega wo humari
ilzam-e-qatl hum par hoga socha na tha

ishq ki bazi jeetne ka junoo is had tak
ki daav par dil jigar hoga socha na tha

jaado aisa chala dega koi dil par
ye sab se bekhabar hoga socha na tha

nazo ada ki bijliyon ke tamannai the hum bhi magar
itna haseen sitamgar hoga socha na tha
 
Top