~¤Akash¤~
Prime VIP
Iss Dayaar-E-Ghair Main Naa’aashna Se Lagtey Hain
Hum Tere Aastaan Main Laamkaan Se Lagtey Hain
Ik Muddat Se Sirgirdaan Hain Uljhanon Main
Ab Ye Hosley Kuch Naatawaan Se Lagtey Hain
Naa Chah Kar Bhi Ruk Gaya Tere Qaafilon Main
Yadon K Ye Sehra Ab Bekaraan Se Lagtey Hain
Ehsaas-E-Zyaan Rooh Ko Ab Chhalney Lagey Tau Kya
Kuch Woh Muskaratey Lamhey Hasti-E-Jaawadan Se Lagtey Hain
Toofaan Ki Maujaen Kahan Baandh Saki Hain Bandhanon Ko
Aansu Uski Nigaah K Aab-E-Rawaan Se Lagtey Hain
Apna Dard Hi Jaisey Shaamil Hua Mausamon Main
Khanakti Barishon K Qatrey Ab Aah-O-Fighaan Se Lagtey Hain
Haya..!