is tanha zindagi ka gam mujhe sata raha hai aaj apna bhee mu

~¤Akash¤~

Prime VIP
is tanha zindagi ka gam mujhe sata raha hai
aaj apna bhee mujhe anjaan nazar aa raha hai

ye nigahain kahin bhee thaharti nahi
inko bhee koi hamse door le ja raha hai

dil par haath rakho to ek dard ki aawaz aati hai
jaise koi mere maatam me shahnai baja raha hai

chalak rahi hain aankhain thamta nahi ye silsila
kaon hai wo jo mujhe mujhme hi duba raha hai

is zindagi ko main kaise ziyun
mujhe koi door se aawaaz laga raha hai


sochta hoon lahar bankar kinare aa jaoon
par kinare par ek reth ka gharaonda nazar aa raha hai
 
Top