is duniyaa se ....waapas..... jaanaa hotaa hai....

~¤Akash¤~

Prime VIP
har ghar mein... koi..... tahkhaanaa hotaa hai;
tahkhaane mein...... ik.... afsaanaa hotaa hai.

kisi..... puraani almaari ke ......khaano mein;
yaadon kaa.... anmol.... khazaanaa hotaa hai.

raat gaye.... aksar ...dil ke veeraane mein;
ik saaye kaa...... aanaa-jaanaa ......hotaa hai.

dil rotaa hai ......chehraa...... hanstaa rahtaa hai;
kaisaa kaisaa...... farz ......nibhaanaa hotaa hai.

badhti jaati hai..... bechaini .....naakhun ki;
jaise jaise..... zakhm .....puraanaa hotaa hai.

zindaa..... rahne ki khaatir....... in aankhon mein;
koi na koi .....khwaab..... sajaanaa hotaa hai.

tanhaayee kaa zahar.... to.... wo bhi ....peete hain;
har pal .....jinke saath... zamaanaa hotaa hai

kyun.... logon ko...... yaad nahin aataa..... AALAM;
is duniyaa se ....waapas..... jaanaa hotaa hai....

AALAM KHURSHEED
 
Top