Is duniya ki basti mein

Is duniya ki basti mein
Kuchh hamse v diwane hai.
Wo duniya ko kya janege
Jo khud se hi anjaane hai.
Nahi bhul sakte jo mahboob
ki ankho se pee thi
Sahar mein to bas
Naam ke meykhane hai.
Har roj sajti hai
Be-inteha mehfile
Fir v dilo mein shaye
huye virane hai.
Kuchh bhul kar v
nahi bhula sakte
Is dil per likhe
aise kuchh afsane hai.
mere hoton par kab
thi muskaan khili
mujko yaad nahi
wo to gujre huye jamane hai.
 

gurvy

.:: free as the wind ::.
Nahi bhul sakte jo mahboob
ki ankho se pee thi
Sahar mein to bas
Naam ke meykhane hai
:wah

mere hoton par kab
thi muskaan khili
mujko yaad nahi
wo to gujre huye jamane hai :wah
 
इस दुनिया की बस्ती में
कूछ हमसे भी दीवाने है
वो दुनिया को क्या जानेंगे
जो खुद से ही अनजाने है
इक तमन्ना थी बस
महबूब की आँखों से पीने की
इस शहर में तो बस नाम के मेहखाने है
हर रोज़ सजती है बेइंतेहा मेहफिलें
दिलों में छाये फ़िर भी वीराने है
कुछ भूलाये भी नहीँ भुला सकते
इस दिल पर लिखे ऐसे कूछ अफ़साने है
मेरे होंठो पर कब थी मुस्कान खिली
मुझको याद नहीँ
वो तो गुजरे हुये ज़माने है
 
Top