is bhari mehfil me rehkar bhi yu tanhai na hoti...!!!

~¤Akash¤~

Prime VIP
Aankhein yun hi nam na rahti agar judaai na hoti,
Pyaar beshak wo bhi humse itna hi karte agar ruswaai na hoti,...
...
Zamaane ke sitam se hum na dare, aur wo seh na sake,
warna ishq me yunhi ekterfa bewafai na hoti !.....
...
Duriya yun hi nahi badti dilon ke beech,
agar rishton me yun dararein aayi na hoti,..
...
Jeet lete hum unka Dil aur wo bhi hote humare'
mohabbat me zalim zamaane ki agar tanashahi na hoti,...
...
Ishq Aag ka dariya hai ye to jana hai par,
ye bhi jaan gaye ki Ishq-e-beemar ki koi dawaai nahi hoti,...
...
gar hota saath unka zindagi ke har mod par
is bhari mehfil me rehkar bhi yu tanhai na hoti...!!!
 
Top