is afsaane ka har fasana mujhe yaad hai

~¤Akash¤~

Prime VIP
yaadon ke sailabon main doob jaana yaad hai
choti choti baaton ko sunna sunana yaad hai
patjhad main bhi lagta tha mausam baharon ka
tumhare intezaar main waqt bitana yaad hai



thakti nahi thi aankhen dekh dekh rasta
naye bahane banake der se tumhara aana yaad hai
kushboo main hawa ki dhoondna tumhari mehak
baarish ki boondon main apne ashka milana yaad hai



kabhi saath baithe baithe yuhi waqt bita dena
kabhi meri har baat par tumhara muskuraana yaad hai
kabhi bin bataye tumhaara sab kuch keh dena
kabhi keh ke bhi baat chupana yaad hai



kuch sunna chahte the hum tumse
par tumhara na keh paana yaad hai
abhi to mile bhi nahi the raaste humare
yun ek mod par raahon ka mud jaana yaad hai



chaha tha ek kahani bane humari
magar panno ka achanak bikhar jaana yaad hai
kahanni na sahi afsana to ban gaya
is afsaane ka har fasana mujhe yaad hai
 
Top