Inteqaam

Abae talkh ki nisbat mujhe bekraar kiya hai
Is hararat me jaam nafsh nisar kiya hai

Arzmand bhi tha mai par nazarah kuchh ajeeb hua
Ye manzar usne kayam saro bazaar kiya hai

Kya pata tha badle ki aag sulag uthegi aaj
Usne bade mijaz se ye waar kiya hai

Zehan me aabad hai beete fasane aaj bhi
Ajeeb waqt ki fitrat ne ye qarar kiya hai

Maine dakhal diya tha kisi zamane me azhar
Aur aaj usne paimana aar paar kiya hai
 
Top