insaan ka rup dhar ek baar aaja ki insaan jaane kahan kho ra

~¤Akash¤~

Prime VIP
aye khuda aaj dekh le apni duniya
ki har koi sukun ke liye ro raha hai...

kya karega tu jahan ke is antar ka, ki
koi makhmal, koi jameen par so raha hai...

teri bhi aankh bhar aayegi ye dekhkar,ki
mar raha hai bhukha wahi jo bo raha hai

ganga bhi aaj kar rahi hai chitkaar,ki
mail apna har koi isi me dho raha hai

dharam banaya tune pyar aur aman ke liye
aaj wahi dharti ko khun se bhigo raha hai

rok sakta hai to aakar rok le, ki
koi paap punya me piro raha hai

insaan ka rup dhar ek baar aaja
ki insaan jaane kahan kho raha ha
 
Top