ik roz koi tou sochay ga

~¤Akash¤~

Prime VIP
ik roz koi tou sochay ga
parwaanon ki is basti mein
ik shaks tha pagal paagal sa
per baatein theek hi kehta tha
baarish ki tarha pur shor na tha
darya ki tarha chup rehta tha
jin se is ko pyaar bala ka tha
taanay bhi unhi k sehta tha
ik shaks tha paagal paagal sa
per baatein theek hi kehta tha
ik roz koi tou sochay ga
duniya ne usay kuch bhi na diya
per us ne jag ko pyaar diya
jaan rotay rotay kho beitha
dil hanstay hanstay haar diya
jo nazm likhi bharpoor likhi
jo shair diya shahkaar diya
kion jeetay jee dargor hua
kisi jaan pay tun mann waar diya
tha dushman kaun bechaaray ka
kiss ranj ne us ko maar diya
ik roz koi tou sochay ga
aur pehron beith k roye ga
 
Top