humne kaha kyu nahi kyu nahi!!...

~¤Akash¤~

Prime VIP
Pyaar ne pucha zindagi kya hai?
humne kaha tere bin kuch nahi.
usne fir pucha dard kya hai?
humne kaha jab tu sang nahi.

pyaar ne pucha mohabbat kaha hai?
humne kaha mere dil me kahi.
usne fir pucha khuda kaha hai?
humne ne kaha tujhme kahi.

pyaar ne pucha humse ishq kyu hai?
humne kaha usko bhi pata nahi
usne fir pucha itni bechaini kyu hai?
humne kaha isme kasoor mera nahi.

pyaar ne pucha aetbaar karoge mera?
humne kaha tumse badkar koi nahi.
usne fir pucha saath doge mera?
humne kaha kyu nahi kyu nahi!!...
 
Top