humko to uske dar se bas inkaar mila hai...

~¤Akash¤~

Prime VIP
Roya hoon bahut tab zara karar mila hai,
Is jahan me kise sacha pyar mila hai.?
Guzar rahi hai zindagani imtehan ke daur se,
Ik khatam hua to doosra taiyar mila hai.
Mere daaman ko khushiyon ka nahi malal,
Gham ka khazana isko beshumar mila hai.
Woh kamnaseeb hai jine mehboob mil gaya,
Main khushnaseeb hoon mujhko intezar mila hai.
Gham nahi hai mujhko dushman hua zamana,
Jab dost liye haathon me talwaar mila hai
Sab kuch khuda ne tumko bhala kaise de diya,
humko to uske dar se bas inkaar mila hai...
 
Top