hum jeena hi bhool gaye

~¤Akash¤~

Prime VIP
aankhon se behte askq nahi
khoon-e-jigar rawani hai
kuch teri bewafaii ki
kuch wafa ki meri kahani hai
mujhko udaas dekh ker..
zamane ne yeh sawal kiya
woh kaun hai zalim..
jisne tera yeh haal kiya
maine kaha woh mohabbat hai..
jo meri unke saath hai
woh nikli bewafa zalim..
bus itni si baat hai
machli paani mein doob gayee
hum ishq main doob gaye
use to zindagi mili
hum jeena hi bhool gaye
 
Top