hum bhi chup rehte hai

ayushi

Member
neev k pathar chup rehte hai,
emarat ka dard sehte hai par woh chup rehte hai,

lakho kinare chup rehte hai,
har baar lehro ki bewafai sehte hai par woh chup rehte hai,

bago k peadh chup rehte hai,
sabko chaya dete hai, fal k badle pathar ka tofha paate hai par woh chup rehte hai,

gulab k phool chup rehte hai,
har pal kaato ko sehte hai par woh chup rehte hai,

yeh aasmaa bhi toh chup rehta hai,
aapni dharti ki chah main pal pal barasta hai par woh chup rehta hai,

hum bhi toh chup rehte hai,
na jane kitne dukh aamrit samjhkar pee lete hai par hum chup rehte hai......................:(:(
 
Top