hu_ii hai shaam

hu_ii hai shaam to aaNkhon mein bas gayaa phir tuu
kahaaN gayaa hai mere shahar ke musaafir tuu

bahut udaas hai ik shaKhs tere jaane se
jo ho sake to chalaa aa usii kii Khaatir tuu


merii misaal ki ik naKhl-e-Khushk-e-saharaa huuN
teraa Khayaal ki shaaKh-e-chaman kaa taa_ir tuu


main jaanataa huuN ke duniyaa tujhe badal degii
main maanataa huuN ke aisaa nahiin bazaahir tuu


haNsii Khushii se bichhaD jaa agar bichhaDanaa hai
ye har maqaam pe kyaa sochataa hai aaKhir tuu

'Faraz' tuune use mushkilon mein Daal diyaa
zamaanaa saahib-e-zar aur sirf shaayar tuu
 
Top