hokar zameen ki khaak, aasman ki chahat kyon karun

~¤Akash¤~

Prime VIP
hokar zameen ki khaak, aasman ki chahat kyon karun
main usko paane ki aur tamanna kyon karun,

mujhko khabar hai, judai tadpayegi use bhi har pal
isliye bata de main us se wafa ki aas kyon karun,

rooh ko meri chot lagegi gar woh na mila mujhe
usko aapna banane ki, par dua kyon karun,

uski masoomiyat ko banayaa hai rab ne mohhabat ke liye
usko na chahne ki khata main bhala kyon karun,

farishtey bhi tadap jate hain, uski aankhon se jab ashq chalakte hain
ye dard tujhe dekar, main ye gunah kyon karun,

uski aur meri kismat ki rahein hain juda juda
main phir bhi uska ban jane ki dua kyon karun,

mana ki mohhabat bhari nazar dil pe ghera asar karti hai
usko pyaar se dekh kar uspar ye rehmat kyon karun,

woh mera ho gaya, par main tera ban na saka
fir bhi uske pyar ki arzoo kyon karun,

itna dukhaya hai dil ko usne mujhe, itna rulaya hai mujhe
sab kuch sahun phir bhi, unse be-intihah mohabbat kyon karun....
 
Top