hazar taron ke bich me bhi kyun koi uske sath nahi...

~¤Akash¤~

Prime VIP
Jab jab dekha is Chand ko tab ye socha
hai ye itna Nurani fir bhi kyun kabhi khush nahi..
rehta hai ye udas hi kyun kya koi khushi ka ehsas nahi..
hazar taron ke bich me bhi koi kyun iske sath nahi..
isi soch me bethi thi ki "Wo" aaya kab pass pata nahi..
dheere se mere hathon ko tham ke jo kaha mujhko hua yakeen nahi..
wo bola tu hai ek Nur-e-Mallika ki teri kismat me mujhsa koi insaan nahi..
me bol payi na usey kuch bhi jese mere jism me baki koi ehsaas nahi..
hai mere pass ek dil e sheesha ki bas nur o jism ki me deewar nahi...
or us raat hua ye ehsaas ki chand ke pass kyun koi khushi ki wajah nahi...
hazar taron ke bich me bhi kyun koi uske sath nahi...
 
Top