hawaa... talwaar.... hoti jaa rahi hai...

~¤Akash¤~

Prime VIP
samandar paar..... hoti jaa rahi hai;
duaa.... patwaar..... hoti jaa rahi hai.

dareeche...... ab .....khule milne lage hain;
fIzaa.... hamwaar..... hoti jaa rahi hai.

koi gumbad hai...... darwaaze ke peechhe;
sadaa ....bekaar..... hoti jaa rahi hai.

masaail... jung.... khushboo ...rang.... mausam;
gazal.... akhbaar.... hoti jaa rahi hai.

bahut kaanton bhari.... duniyaa hai..... lekin;
gale kaa haar..... hoti jaa rahi hai.

kayee din se.... mere...... andar ki masjid ;
khudaa bezaar... hoti jaa rahi hai.

gale... kuchh dost aa kar.... mil rahe hain;
chhuri pe.... dhaar.... hoti jaa rahi hai.

kati jaati hain..... saanson ki patangein;
hawaa... talwaar.... hoti jaa rahi hai...
 
Top