Hawa ka jhonka samaj kar bhula dia us ne.

~¤Akash¤~

Prime VIP
meri zindagi ko ik tamasha ban dia us ne,



bhari mehfil tanha bitha dia us ne,



aisi kiya thi nafrat us ko is masoom dil se,



khushian chura kar gham thama dia us ne



bohut naz tha us ki wafa pe kabhi ham ko,



mujh ko hi meri nazron ma ghira dia us ne,



khud bewafa tha meri wafa ki kiya qadar karta,



anmol tha main khak ma mila dia us ne,



kisi ko yaad karna to us ki fitrat ma shamil nahi,



hawa ka jhonka samaj kar bhula dia us ne.
 
Top