har lafz ko wo sher kehte hai jab se ye dard paya hai...!!!

~¤Akash¤~

Prime VIP
kya zikr kare hum khuda ke rahamon karam ka...
khamoshi se jisne aaj tak humpe julm hi dhaya hai...
log kehte hai wo der karta hai meherbani karne mein...
ab kya kho de jab pane ki chah mein khud ko lutaya hai...
..
ab to shayad mout bhi dega to udhari badha lega...
wakai dena baki hai shayad isliye sason ko bachaya hai....
ab kehte hai log ki intjaar karle zara to jannat milega...
par ye dil ko to maza jyada is dard se aaya hai...
...
aadat si ho gayi hai ab hume yun hi gujar janeki....
aarzoo na rahi nigahon mein kabhi jannat nazar aane ki...
mehfilon ne hume wah wah keh kar rulaya hai...
har lafz ko wo sher kehte hai jab se ye dard paya hai...!!!
 
Top