Har jeet us k naam kar raha hoon main

~¤Akash¤~

Prime VIP
Bikhar rahi hai meri zaat usay kehna
Kabhi milay to yehi baat Usay kehna

Wo sath tha to zamana tha hamsafar mera
Magar ab koi nahi meray sath usay kehna

Usay kehna k bin us kay din nahi kat-ta
Sisik sisik k kati hai raat usay kehna

Usay pukaron k khud hi pohanch jaon us k pass
Nahi rahay wo halaat usay kehna

Agar wo phir bhi na lotay to a meray meherban
Hamari Zeest k Halaat usay kehna
Main manta hoon apni Haar usay kehna..
Har jeet us k naam kar raha hoon main
 
Top