Har ek chehare ko zakhmon ka aina na kaho Ye zindagi to hai

~¤Akash¤~

Prime VIP
Har ek chehare ko zakhmon ka aina na kaho
Ye zindagi to hai rahamat ise saza na kaho

Na jane kaun si majaburiyon ka qaidi ho
Wo sath chor gaya hai to bewafa na kaho

Tamam shahar ne nezon pe kyun uchala mujhe
Ye ittefaq tha tum is ko hadasa na kaho

Ye aur bat ke dushman hua hai aj magar
Wo mera dost tha kal tak use bura na kaho

Hamare aib hamay ungaliyon pe ginwao
Hamari pith ke piche hamay bura na kaho

Main waqiyat ki zanjir ka nahi qayal
Mujhe bhi apane gunahon ka silsila na kaho

Ye shahar wo hai jahan rakshas bhi hai "rahat"
Har ek tarashe huye but ko dewata na kah
 
Top