Hansa bahut mujhpe mera aayina...!!!

~¤Akash¤~

Prime VIP
Aaj muskuraaye bahuT main aur mera aayina..
Samjh nahi aaya kaun kispe hass raha Tha..
Main uspe, ya mujhpe mera aayina..
..
Dikha raha tha unki tasveer pal do pal ke liye..
Sharaarat kar raha tha mera aayina....
..
Hansa raha tha mujhe..
Bahut khush nazar aa raha tha mera aayina..
..
Phir na jaane kya hua use..
Naraaz ho gaya mujhse mera aayina..
..
Dikhaane laga mere gam ko khud mein..
Rone lag gaya mera aayina..
..
De ke aansoo phir meri aankhon me..
Hansa bahut mujhpe mera aayina..
..
Na jaane kyun diya dard usne mujh ko..
Deta raha behisaab mera aayina..
Hansa bahut mujhpe mera aayina...!!!
 
Top