hamare muntazir thehro ya hum ko alwida keh do

~¤Akash¤~

Prime VIP
koi bhi faisla kar lo
hamaare muntazir thehro
ya hum ko alwida keh do
hamaare naam se mansoob kar do naam ko apne
ya apna naam de kar tum kisi ke meet ban jao
Tumhein jaanam izaazat hai
koi bhi raasta chun lo
hamaare paaon mein to waqt ki zanjeer lipti hai
bahut nidhaal hein hum to dukhon ki aazmayish hai
bahut mumkin hai thak jaao hamaare saath chal kar tum
mohabbat ki thakaawat tum ko hum se badgumaan kar de
to is se qabul ke har ik waapsi ki raah kho jaaye
jo socha bhi nahi hum ne kabhi woh kal ho jaaye
Tumhein jaanam izaazat hai
koi bhi failsa kar lo
humaara tum se waada hai tumhari yaad ko hum to
sadaa dil ke dareechey mein yunhi aabaad rakhenge
ke dil rota rahe har pal labon ko shaad rakhenge
tumhein hum yaad rakhenge
Tumhein jaanam izaazat hai
Tum apne hauslon mein jab thakawat si kabhi paao
ulajh jaao masaayil mein wafa ko na nibaah paao
kisi pyaare se mukhre ki haseen aankhon mein kho jaao
Izaazat hai tumhein jaanam
ager us pal jo tum chaaho
koi bhi faisla kar lo
hamare muntazir thehro
ya hum ko alwida keh do
 
Top