ham khaak nasheeN ab hain tahyur main mubtala

~¤Akash¤~

Prime VIP
rehti hain gehray paniyon main ab meri aankhain
dariya ko ghar banaye zamaney guzar gaye

mud'dat hoi k khuwab ka manzar nahi dekha
aankhon ko aazmaye zamaney guzar gaye...

sooraj pey aik bar uthi thi meri nigaah
aur phir nazar jhukaye zamaney guzar gaye

ham khaak nasheeN ab hain tahyur main mubtala
roothey hain aur manaye zamaney guzar gaye...!!
 
Top