haathon ki lakeeron mein naam uska nazar aane laga...!!!

~¤Akash¤~

Prime VIP
Bheed mein ek ajnabee ka chehra pehchana sa laga,
uska humse nazren milana apna sa laga,

uske aane se zindagi mein rang khilne lage,
sapne haqiqat mein hamare panapne lage,

dekh usko hum zamane ko bhi bhulane lage,
khuda se jyada naam uska labon pe aane laga,

har taraf uska muskarata chehra nazar ab aane laga,
uska jaadoo is kadar humpe chahne ab laga,

kya kahen uski ulfat mein kya humein hone laga,
haathon ki lakeeron mein naam uska nazar aane laga...!!!
 
Top