Haal-e-dil Kahen to Kaise

Rajat

Prime VIP
Nazren mili jo unse, bas ek jaam ho gaya
Lab bhi hile na unke, aur paighaam ho gaya

Haal-e-dil kahen to kaise, hum soochte rahe
Tumne ek nazar hi daali, aur kaam ho gaya

Khwaabon mein tumko laakar, nawaaza hai umr bhar
Haasil hua na kuch bhi, par naam ho gaya

Kahne lagi hai duniya, mohabbat to khudkhushi hai
Kyon mera dam nikalna, khule-aam ho gaya

Nakaamiyon pe apni, soocha k muskura loon
Par kudratan yahaan bhi, na-kaam ho gaya

Shouk-e-intihaa ne dikhaye, ae ‘Soz’ kaise rang
Dard kuch is kadar badha, k araam ho gaya
 
Top