| |||||||
|
|
| | ||
| | ||
| Ghazal Mizaj hum se ziyada juda na tha us ka jub apne taour yahi the tu kya gila us ka woh apne zaam mein tha bekhabar raha mujh se use gumaan bhi nahi main nahi raha us ka woh barq rao tha magar rah gaya khaa jane ab intizaar kareyn shikasta pa us ka chaloo ye sail e bala khez hi bane apna safeena us ka, khuda us ka, nakhuda us ka ye ahle dard bhi kis ki duhaai dete hai woh chup bhi ho to zamaana hai humnawa us ka humee ne tark taluq mein pahal ki ke Faraz woh chahta tha magar hausla na tha us ka |