| |||||||
|
|
| | ||
| | ||
|
Ye saal mahinay din shumaar na karna Bai ja dil-e-muztarib pay waar na karna Wo keh gaya thha waqt-e-rukhsat ye bhe Kisi musaafir ka aitebaar na karna Na mujhay yaad dilana na mujhay yaad aana Apni berbaad haseraton ka izhaar na karna Sufer-e-hayaat main apnay leye tum chun laina Koe bhe gosha-e-makan per intezaar na karna Dawa-e-dil k leye kaafi thha os ka ye kehna Apni hasti kee hudon ko paar na karna Saza k taur pay kaatna ye zindagi apni Wafa bai mole bhe milay tau payar na karna Zakhmon ko apnay see laina tanhaiye main baith kar shaukat Ore iss saee main saal mahinay din shumaar na karna (Shumaar:Count)(Haseraton:Wishes)(Sufer-e-hayaat:Journey of life)(Dawa:Claim)(Mole:Worth) by Shaukat Ali Khan |