gayl-e-tanhaai

Aaj naa jane kyun rone ka mann kiya,
Maa ke anchal me sar chhupa ke sone ka mann kiya.
Duniya ki is bhag daud me kho chuka tha riste sab,
Aaj phir un riston ko ek sire se sanjone ka mann kiya.
Kisi din kisi bheed me dekhi thi kisi ki ankhen,
Aaj fir un ankhon me khone ka mann kiya.
Roj sapno se baatein karta tha main,
Aaj na jane kyun unse muh modne ka man kiya.
Jhooth bolta hoon apne aap se roj main,
Aaj na jane kyun khud se ek sach bolne ka mann kiya.
Dil todta hoon sab ka apni baaton se main,
Aaj na jane kyun ek toota hua dil jodne ka mann kia..
aaj naa jane kyun rone ka mann kiya,
Maa ke anchal me sar chhupa ke sone ka mann kiya.


Dagh-E-Dil
Dagh-e-dil humko
Yaad ane lage
Log apne diye
Jalane lage

Khud farebi thi khud farebi hai
Paas ke dhool bhi suhane lagne lage

Ab to hota hai
Har kadam pe gumaan
Hum yeh kaisa kadam
Uthane lage

Ek pal main wahan se
Hum uthe
Bethne main jahan
Zamane lage.

Apni kismat se hai
Mafar kis ko
Teer par urtye hi
Nishane lage
Dagh-e-dil humko
Yaad ane lageeee…​


Meri zindagi aaj ek kahani kah nikli
ankhon se boondoon ke nadyan bah nikli

aaj zindagi ka safa kali siyahi se hai likha
kiya aur koi imtehan zindagi ka hai rakha

jo kabhi na socha tha aaj woh ho para
ghut ghut ke har lamha aaj mein marta raha

kash ye sab kuch jooth hota
mein aaj ke har lamhoon mein unke kareeb hota

pal bhar mein lagta hai sab ho gaya khatam
ai khuda kar de mujhpar thori se raham

sans leta hoon har sans mein unki yaad aati hai
bas yaad hi hai jo ab unko mujse jor jati hai.
 
Top