Gam kal bhi mera sarmaaya tha, gam aj bhi mera wiraasa hua.

~¤Akash¤~

Prime VIP
Khudi me tha yakeen so khafa naa hua
Khafa jo hua,khudse to wafaa naa hua
robaroo jab hua main khud se,
mujhamein aur mujhase jafaa naa hua.

Yaadon se rishta kal tha, yaadon se rishta aaj bhi hua,
Dil kal bhi apna dukhta tha aur afsurda sa aaj bhi hua.

Woh ranjh jo hum tum karte the, woh gam to zinda aaj bhi hua,
Kal tak jo hijar sataata tha us hijar ka pehra aaj bhi hua.

Yeh ashq nahi hain aankhonme, yeh khwab jhilmil karte hain,
In aankhonme main jo kal tha, woh lamha roshan aj hua.

Tum khush rehna dil ki duniya, apni to chalo barbaad hui,
Dil gam ka mara kal bhi tha, aur gam ka mara aj bhi hua.

Ab shikwa kisise kya karna, taqdeer main jo likha tha mila,
Gam kal bhi mera sarmaaya tha, gam aj bhi mera wiraasa hua.
 
Top