fir bhi aaj apke intezar mein ye dil dharka karta hai...

~¤Akash¤~

Prime VIP
na aye aap na ayenge kabhi aisa lagta hai
fir bhi aaj apke intezar mein ye dil dharka karta hai
apni wafa mein toh koi kami nazar na aayi hume
jaane khuda se he koi pichla sa badla lagta hai
na tuti hai ummid na tutegi kabhi
jane kyu aaj bhi woh chehra sirf apna sa lagta hai
khwaab mein dekha hai roz unhe apna
jaagi ankho ko par mahaz ek "sapna" sa lagta hai
unki he chahat mein jiya hun ab tak
na jaane kyu bita waqt bas ek lamha sa lagta hai
apki chahat apka intezar he hai ae sanam
warna kon ab apne mein jine ka jazba rakhta hai
ab khuda he koi rasta dikhaye mujhko
jeevan toh ab dhundla dhundla sa lagta hai
akhiri khwahish hai bas pana tumko
shayd khwahish he reh jayegi aisa lagta hai
na aye aap na ayenge kabhi aisa lagta hai
fir bhi aaj apke intezar mein ye dil dharka karta hai...
 
Top