fir aaag ka dariya hai aur doob kar jaana hai

~¤Akash¤~

Prime VIP
masooom mohabbat ka bas itna fasana hai,
kagaz ki haveli hai baarish ka zamana hai.
kya sharte-mohabbat kya shart-e - zamana hai,
awwaz bhi zakhmi hai aur geet bhi gana hai,
us paar utarne ki ummed bahut kam hai,
kashti bhi puraani hai aur tufaan ko bhi ana hai.
samjhe ya na samjhe woh andaaz mohabbt ke,
ek shaks ko ankhon se haal-e-dil sunana hai.
bholi si ada koi fir ishq ki zid par hai,
fir aaag ka dariya hai aur doob kar jaana hai
 
Top