farz thi afaq khela usi darakht ki shakhe jhuka ke wo

~¤Akash¤~

Prime VIP
rakhta tha apne dil me mere gam chupa ke wo , kyu door ho gaya mere nazdeek aake wo. karke bahana chal diya daman bacha ke wo , kya chen pa sakega mera dil dukha ke wo. jab khud ka ghar jala to use hosh aa gaya , khushiyan mana raha tha mera ghar jala ke wo. jiski hiwazat uske liye farz thi afaq khela usi darakht ki shakhe jhuka ke wo
 
Top