Ekta kapoor ji

Saini Sa'aB

K00l$@!n!
Ekta kapoor ji apne bhi kya sirial banaya
kahani ghar ghar ki lekar,
kyoun ki saas bhi kabhi bahu thi mein lafda karwaya
har lafde ki shooting nikaal kar
sare zamana ko dekhaya
wah wah apne bhi kya serial banaya
pariwar walo ke paas
dhair sari doulat dekhayee
kahan se aaye yeh doulat
kisi ko nahi dekhayee
fashion ki chaka chounk mein
pariwar ki mariyada desh ki sanskriti
yeh dekhawa aur jhoota natak hai
kahi kisi rooz nahi har din dekhaya
ghareeb ho ya ameer sare pursho ko
kasuti zindagi ki dagar per thairaya
bajaj pariwar, virani pariwar, agarwal pariwar
yeh pariwar o pariwar na jane kaise kaise pariwar
inke sare pariwarik jhagde
star plus per khul kar dekhaya
inhi jhagdo ne aap ko award bhi dilwaya
pati patni, saas bahu, jait jaitani, nanand bhoujaye, in sabhi rishto ko
ekta ne jab chaha jaha chaha pal pal har waqt nachaya
dekh kar in banawati rishto ko
sar mere chakraya kasam se
tulsi se pehle mujhse rona aaya.
Kaun kis ka pati hai, aur kaun kis ki patni
ekta tumhe bhi samaj na aaya
karam apna apna ka wasta de kar
samaj aur mere pariwar per qayamat dhaya
wah wah ekta tune bhi kya seriel banwaya
aap ke yeh serial dekhkar raj kumar ghabraya
 
Top