Ek zamana laga tha

Kabhi to mera naam ayega tere fasane me..
Us din bhale hum na ho iss zamane me..

Tu meri pehchan se bhi kar de inkar chahe..
Apni jhalak payega tu mere har tarane me..

Mujhe har pal rulane wale tujhe kya maloom..
Kitna lutf hota hai kisi ko hasane me..

Ek hi pal me jin sapno ko tod diya tune..
Ek zamana laga tha unhe aankho me basane me.
 
Top