duniya jaaye bhaad mein

@n@@m

unknown but known to all
rabb di meher ho mujhpe,na karu kisi ka apmaan;
karu choto ko pyaar,bado ka aadar baki duniya jaaye bhaad mein.

dil mein jo aaye mere wo main karta jau;
na sunu kisi ki baat maanu bas apne dil ki aawaz;
dil mera sacha chote bache ke jaisa;
karta nahi galat kuch chahe ho kuch b baat;
duniya jaaye bhaad mein agar koi samjhe mujhe kacha.

main hu dil ka sacha tann se bada mann se bacha;
kehte mujhe anaam naam jiska naam nahi oski pehchaan;
pehne hu ek nakaab hansi ka jiske piche hai dard ki dastaan;
duniya jaaye bhaad mein agar koi samjhe mujhe naadaan.

rakhu achi baat sabki apne saath,buri dil pe na lagau;
acho ke sath acha buro ke sath b acha;
duniya jaaye bhaad mein karke mujhe badnaam
kya jayega mera hoke bhi badnaam
keh gaya 1 shayar mahan;
na lagao naam ko dil pe ho jaoge kabhi bhi badnaam.

naam kare ya badnaam duniya ki baat duniya jaane
bhaad mein jaye duniya agar soche mujhe naadan .

writer :-~anaam~
 
Top