Dun mein bhi yaar se pehle khuda ka naam liya nahin karte...

~¤Akash¤~

Prime VIP
Ho jaye na chaht badnaam,
Mohabat karne wale ........,
Mehfil mein yaar ka naam liya nahin karte,
..
Ho jaye na naam e yaar kahin Ruswa,
Mohabat karne wale ..........,
Hothon se dil ki baat byaan nahin karte,
..
Koi daalen na nazar mohabat pe
Mohabat karne wale .......,
Nazrein milake yaar ka deedar nahin karte,
..
Aahat se hi yaar ki dil dhadak jata hai
Mohabat karne wale ........
Hawa ke jhoke ka intezaar nahin karte,
..
Jo naam zindagi ban jata hai,
Mohabat karne wale .........
Dun mein bhi yaar se pehle khuda ka naam liya nahin karte....!!!
 
Top