Dulhan Banaya hoga

Aaj Dulhan k laal jode mein,
use uski saheliyon ne sjaya hoga
Meri Jaan k gore haathon par sakhiyon ne mehndi ko lgaya hoga..
Bahut gehra chadega mehndi ka rang,
,, Us mehndi mein usne mera naam chupaya hoga,,
Reh reh kar ro padegi
Jab jab usko khayal mera aaya hoga,,
Khud ko dekhegi jab aaine mein,
To aks mera bhi nazar aya hoga,,
Lag rhi hogi balaa si sunder woh
Aaj dekh kar usko chand bhi sharmaya hoga,,
Aaj meri jaan ne apne maa baap ki izzat ko bachaya hoga,,
Usne beti hone ka doston aaj har farz nibhaya hoga,,
Majboor hogi woh sabse jyada
Sochta hu kis trah usne khud ko smjhaya hoga,,
Apne hathon se usne hmare prem k khaton ko jalaya hoga,,
Khud ko majboot bana kar usne apne dil se
meri yaadon ko mitaya hoga,,
Toot jayegi tasveer meri, jab uski maa ne tasveer meri ko hataya hoga,,
Ho jayenge laal mehndi wale hath,
Jab un kanch k tukdo ko usne uthaya hoga,,
Bhookhi hogi woh janta hu main,
Kuch na us pagli ne mere bageir khaya hoga,,
Kaise sambhala hoga khud ko,
Jab use fairon k liye bulaya hoga,,
Kampta hoga jism uska,
Haule se pandit ne hath uska kisi or ko pakdaya hoga,,
Main to majbur hu pta hai use,
Aaj khud ko bhi bebas sa usne paya hoga,,
Ro ro ke bura haal ho jayega uska,
jab waqt uski vidayi ka aya hoga,,
bade pyar se meri Jaan ko maa baap ne doli me bithaya hoga,,
Ro padegi Aatma bhi,
Dil bhi cheekha aur chillaya hoga,,
Aaj apne maa baap ke liye usne gala apni khushiyon ka dabaya hoga,,
Reh na payegi juda hokar mujhse
Darr hai ki zeher chupke se usne khaya hoga,,
Doli me bethi Ik Zinda Laash ko,
Char Kandho pe Kaharon ne Uthaya Hoga...!!!!$$
 
Top