dukh fasaanaa nahiin

dukh fasaanaa nahiin ke tujh se kahen
dil bhii maanaa nahiin ke tujh se kahen

aaj tak apanii bekalii kaa sabab
Khud bhii jaanaa nahiin ke tujh se kahen

ek tuu harf_aashnaa thaa magar
ab zamaanaa nahiin ke tujh se kahen

be-tarah dil hai aur tujh se
dostaanaa nahiin ke tujh se kahen

ai Khudaa dard-e-dil hai baKhshish-e-dost
aab-o-daanaa nahiin ke tujh se kahen
 
Top