Dil tod kar humein chod kar kahin na jaana yaad rakhna

~¤Akash¤~

Prime VIP
Kiya hai tumne hamse ek wada yaad rakhna,
Bhool na jaana kahin apna irada yaad rakhna.

Ab na hamein rulana tum, ab na door jaana tum,
Pehle hi seh chuke hain dukh itne zyada yaad rakhna.

Dil to na dukhaoge mujhe chod to na jaoge,
Dil mein hi base ho tum ab ise abaad rakhna.

Tum jo chod jaoge hum to mar hi jayeinge,
Tumhare dum se hai zindagi sirf itna yaad rakhna.

Chahaton ki duniya mein roshni tumhi se hai,
Dil tod kar humein chod kar kahin na jaana yaad rakhna
 
Top