dil ko sishe ke zaroko mei sazaya na karo....

~¤Akash¤~

Prime VIP
reth par likh kar mera naam, mitaya na karo.
aankh sach bolti hai, pyaar chupaya na karo.
log har baat ka afsana bana dete hai,
sab ko halat dil ki sunaya na karo.
yeh zaruri nahi ke har shaks masiha hi ho,
pyaar ka zakhm amaanat hai, duniya ko dikhaya na karo.
yeh dil ka shaas hai, sajawat ki cheez nahi,
dil ko sishe ke zaroko mei sazaya na karo....
 
Top