Dil ki dhadhkan hai,khyaalon mein mere rehta hai

~¤Akash¤~

Prime VIP
Dil ki dhadhkan hai,khyaalon mein mere rehta hai

Kaun hai woh, jo swaalon mein mere rehta hai


Jis ka dekha na khwaab us se wafa karta hoon

Dil ke aaine mein main us se mila karta hoon


Main nahin jaanta yeh kis ki talab hai mujh ko

Kis ka armaan iraadon mein mere rehta hai


Khwaab hai woh mera, taabeer dilaaon kaise

Apni hasrat ko main, taqdeer banaaon kaise


Mujh ko milta hai sakoon, us ka tasavur kar ke

Woh ishara, jo isharon mein mere rehta hai


Kis ki tareef mein likhi yeh ghazal kya janu

Kis ko kehta hoon mohabbat ka kanwal kya janu


Main tau bas aik hi umeed mein rehta hoon sadaa

Us ko dekhoon jo nazron mein meri rehta hai..........
 
Top