dil ka mamla hai koi dillagi nahi

zinda hu is tarah ki Gam-e-zindagi nahi
jalta hua diya hu magar roshni nahi


wo muddate hui hai kisi se juda hue
lekin ye dil ki aag abhi tak bujhi nahi


aane ko aa chuka tha kinara bhi samne
Khud uske paas meri hi nayya gayi nahi


hoTho ke paas aaye hasi , kya majaal hai
dil ka mamla hai koi dillagi nahi


ye chaaNd ye hava ye fiza, sab hai mand mand
jo tu nahi to in me koi dil-kashi nahi
 
Top