dil hai aa_iinaa-e-hairat se do-chaar aaj kii raat

[FONT=&quot]D[/FONT]il hai aa_iinaa-e-hairat se do-chaar aaj kii raat
Gam-e-dauraaN mein hai aks-e-Gam-e-yaar aaj kii raat

aatish-e-gul ko daaman se havaa detii hai
diidanii hai ravish-e-mauj-e-bahaar aaj kii raat

aaj kii raat kaa mahamaaN hai malbuus-e-hariir
is chaman-zaar mein ugate hain sharar aaj kii raat

mai.n ne farahad kii aaGosh me.n shirii.n dekhii
mai.n ne paravez ko dekhaa sar-e-daar aaj kii raat

jo chaman sarf-e-Khizaa.N hai.n vo bulaate hai.n mujhe
mujhe fursat nahii.n ai jaan-e-bahaar aaj kii raat

dar-e-yazadaa.N pe bhii jhukatii nahii.n is vaqt jabii.n
mujh se aa.Nkhe.n na la.Daa ??? aaj kii raat

mashaal-e-sher kaa laayaa huu.N cha.Dhaavaa "Abid"
jagamagaate.n hai.n shahiido.n ke mazaar aaj kii raat
 
Top