Dil - E - Izhaar

$hokeen J@tt

Prime VIP
Dil - E - Izhaar

Hamari jindgi me bhi kabhi koi,
Ban kar aya tha ik haseen sapna pyar ka!
Galti hamari, haan hamse hui,
Jo ga na paye nagma hum dil-e-izhaar ka!!

Pehli hi mulakat me dil le gyi thi jo,
Lafjo me bayan kaise karu us shabnam-e-bahar ka!
Galti hamari, haan hamse hui,
Jo ga na paye nagma hum dil-e-izhaar ka!!

Chehre par tha chand ka pehra, aankhon me ik raaz naya,
Saadgi hi gehna tha us gul-e-gulzaar ka!
Galti hamari, haan hamse hui,
Jo ga na paye nagma hum dil-e-izhaar ka!!

Hui mulakatein bhi, hui kuch batein bhi,
Par huya na ilm unhe, is dil-e-bekrar ka!
Galti hamari, haan humse hui,
Jo ga na paye nagma, hum dil-e-izhaar ka!!

Unhi ki galio me hamara, ab roj ka jana hua,
Aankhon ko rehta tha intzaar, bas unhi ke didaar ka!
Galti hamari, haan humse hui,
Jo ga na paye nagma, hum dil-e-izhaar ka!!

Ab saal gujarte rahe, didaar hum karte rahe,
Dil me hi sanjote rahe, sapna hum apne pyaar ka!
Galti hamari, haan humse hui,
Jo ga na paye nagma, hum dil-e-izhaar ka!!

Mohabbat ye kaise ibadat, khuda ki ibadat bhool gye,
Yaad raha sirf hamko to ab, chehra wo surat-e-pyaar kar!
Galti hamari, haan humse hui,
Jo ga na paye nagma, Hum dil-e-izhaar ka!!

Izhaar na kar paye kabhi, dar tha unse takraar ka,
Jamane ki maar ka dar nahi, hamein dar tha unke inkaar ka!
Galti hamari, haan humse hui,
Jo ga na paye nagma, hum dil-e-izhaar ka!!
Jo ga na paye nagma, hum dil-e-izhaar ka!!
 
Top