Dil bhi mana nahin ke tujh se kahain

~¤Akash¤~

Prime VIP
Dukh fasana nahin ke tujh se kahain
Dil bhi mana nahin ke tujh se kahain
Aaj tak apni be kali kaa sababb....
Khud bhi jana nahin ke tujh se kahain
Bay tarah haal-e-dil hay aur tujh se
Doostana nahin ke tujh se kahain
Aik too hurf aashna tha magar
Abb zamana nahin ke tujh se kahain
Qasid;hum faqeer logoon kaa
Ek thikana nahin ke tujh se kahain
Aye khuda dard-e-dil hai bakhshish-e-doost
Aab-0-danaa nahin ke tujh se kahain
Abb tou apna bhi uss gali main
Aana jana nahin ke tujh se kahain
 
Top