Dekhkar unhe ek nazar saare ghum bhool jata hu Jaane kyu zam

~¤Akash¤~

Prime VIP
Dekhkar unhe ek nazar
saare ghum bhool jata hu
Jaane kyu zamaane ke dhaye
saare sitam bhool jata hu

Yaad wohi aate hai shub-o-shaam
isiliye khudko bhooljata hu
Bitaa ke ek pal unke saath
main saare aansu bhool jata hu

Muskurahat unki dekhkar
wo tadap wo bechaini bhool jata hu
Nigahon se unke aisa ghayal hua
ki baaki saare dard bhool jata hu

Sochta hu nahi miluga unhe aaj
par dekhte hi sochna bhool jata hu
Khayal ye bhi tha ke bhool jauga me unhe
par kya karu, main to bhoolna bhool jata hu

Lab kapne lagte hai unke saamne
pyaar ke saare alfaz bhool jata hu
Itna khoya hu mohabbat me unke
Ke main saara jahan bhool jata hu.
 
Top